Lyrics
Oi, baith ke dikha
Bas ek baar baith ke dikha
Baith na!
Pehenne ke baad sili hai kya?
Ek size bada le leta
Paise utne hi lagte
Dukaanwaale ne bola tha na
Pehenoge toh khul jaayegi
Ab dukaanwaale ko bula
Khulwa ke de
Pocket di kyun hai?
Achha, isliye phone haath mein hai
Joote kaun baandhta hai?
Chaabi gir gayi toh
Nayi banwa leta hoga
Sau ka note gira toh bola
Tip hai
Thank you, sirrr!
Ye metro mein sabko
Seat de deta hoga
Oiiii, baith ke dikha
Bas ek… waala sahi tha.
Chheenk mat dena
Button kisi ko lag jaayega
Oyeeee! Let your balls breathe, bhai
Unhone bhi kya bigaada hai tera?
Date pe yahi pehen raha hai?
Achha, aaj sirf baat hogi
Jeans ki photo bhej
Ye toh silai ka dhaaga hai
Isko dhona mat
Naali mein chali jaayegi
Bhai, baith ke dikha
Bas ek baar baith ke dikha
Ye nikalti bhi hai,
Ya isi mein nahaata hai?
Achha, bhai ko hee
Car wash bhej diya
Normal wash
Ya underbody bhi?
Kar de!!
Karwa le ab
Bhai toh nikal gaya
Jeans abhi bhi khadi hai
Bhai?
Hanger kyun liya?
Khud toh khadi hai
Isko almari mein rakhta hai
Ya parking mein?
Bhai, baith ke dikha
Bas ek baar baith ke dikha
Achha, baith gaya
Ho gaya!!
Ab uth ke dikha
Dukaanwaala sahi tha
Khul gayi
Fast Facts
Total Views
0
Last Updated
Nov 09, 2026