Verified Lyrics
Lyrics
[VERSE 1]
Lamhein yun kitne hain
Maine sanjoye hain
Pyaar ke panno main
Humne jo likkhe the
Aankhon main neenden bhi
Ab to nahi ati
Sapne kyun lagta hai
Mujhse bhi roothe hain
[BRIDGE]
Saasein lagta hai ke ruk si gayi
Waqt bhi lagta hai yun tham sa gaya
[CHORUS]
Mujhe jane do na
Mujhe jane do na
Kyun kaid rakha hai
Mujhe jane do na (x2)
[VERSE 2]
Yaadon ki baratein
dar pe mere Ayi
Par bas na tu aya
Ayi teri parchhai
Bheed main logon ki
Khud ko na pehchanun
Yaadon ki asthi main
Tujhko main ab bhi dhundoon
[BRIDGE]
Pyaar ki ye bediyaan khulti nahi hain
Jane kyun tu ab bhi mujhme zinda hai
[CHORUS]
Mujhe jane do na
Mujhe jane do na
Kyun kaid rakha hai
Mujhe jane do na (x2)
Fast Facts
Total Views
0
Last Updated
Oct 28, 2026