Lyrics
Leela karan prakate raghurai
Dusht dalan santan sukh dayi
Ram Siya Ram do deh hai ik Pran
अवधपुरी अति पावनि सुहाई।
सरजू सरि कलि कलुष नसाई॥
Aao chalein hum uss yatra par
Jaha Ram pag pag dole hai
Ayodhya nagri me janme aur
Sakal jagat man mohe hain
Guru Vashisht sau shiksha linhi
Vishva mitra ke kaaj kiye
Ahilya ka udhhar kia
Fir ja mithila me pahuche hain
Kahi na jaye kachu nagar bibhuti
janu etani biranchi kartooti
Ram Siya Ram do deh hai ik Pran
जनकसुता जग जननि जानकी।
अतिसय प्रिय करुणानिधान की॥
Nij shakti sita ko byaha
Pitu vachan ka maan dhara
Lakhan siya ko sath me le kar
Vanvas ko prasthan kia
Janmo ke pyaase bhakto ka
Darshan de udhhar kia
Aye bharat unko lauta kar
CHitrakoot me vas kia
Chitrakoot janu achal aheri
chukai na ghat maar muthbheri
Rishiyo ka sang dev karya ko
Sita apharan ka swang racha
Hanumat sang vanaro ko le
Ravan ka sanhar kia
Ram rajya aur maryada se
Praja ke par hit kaaj kia
Shradhaheen ko mohit karne
Sita ka bhi tyag kia
Sita virah me pal pal tadpe
Divya prem ka marg dia
Nar deh prakte narayan ne
Fir leela vishram kia
दैहिक दैविक भौतिक तापा।
रामराज नहिं काहुहि व्यापा॥
Fast Facts
Total Views
0
Last Updated
Aug 26, 2026